‘Guzarish’ is a new Punjabi song sung & written by Satinder Sartaaj. Goldie Sohel has composed the music. Read the song’s lyrics below.
Satinder Sartaaj’s Guzarish Song Lyrics
Gulkadon mein mehakti si dilkashi ka khwaab hai
Noor ka yeh shamiyana khoob hai, nayaab hai
Nazneen-e-rooh ko nazron se roshan kar diya
Meherbani, shukriya, tasleem hai, aadab hai
Khwabgahon se ho chuki hai rawaangi
Abhi baadalon pe chhayegi deewaangi
Khwaabgahon se ho chuki hai rawaangi
Abhi baadalon pe chhayegi deewaangi
Hamein chitthiyan mili hain mehtab se
Hamein chitthiyan mili hain mehtab se
Koi bach nahi payega shabab se
Aaj aaye hain huzoor benaqab se
Guzarishon pe gaur kijiye [x2]
Baat hui hai baharon ki gulab se
Waqfiyatein bhi ho gayi shadaab se
Woh toh maangte hain shokhiyan janab se
Guzarishon pe gaur kijiye [x2]
Aashiqana sa mizaj hai adaon mein
Woh milayenge suroor bhi fizaon mein
Aashiqana sa mizaj hai adaon mein
Woh milayenge suroor bhi fizaon mein
Ke nasha akhiyon mein zyada hai sharab se
Ke nasha akhiyon mein zyada hai sharab se
Aur jalwe kamaal laajawab se
Maine suna hai woh aaye hain Punjab se
Guzarishon pe gaur kijiye [x2]
Hamein chitthiyan mili hain mehtab se
Hamein chitthiyan mili hain mehtab se
Koi bach nahi payega shabab se
Aaj aaye hain huzoor benaqab se
Guzarishon pe gaur kijiye [x2]
Ho chalo seekh lein isharon ka muhavara
Hai nigahon ka hi yeh toh sara majara
Kya dilawari dikhayenge, misaal do
Log poochhte hain aake toh bata zara
Haan jise jaamiya-e-ishq ki taleem ho
Woh jo shor-o-ghul se door ho saleem ho
Wohi ulfatein sikhayenge hisaab se
Wohi ulfatein sikhayenge hisaab se
Sartaaj kya padhoge is kitaab se
Jazbaat hain dilon mein yeh betaab se
Guzarishon pe gaur kijiye [x2]
Hamein chitthiyan mili hain mehtab se
Hamein chitthiyan mili hain mehtab se
Koi bach nahi payega shabab se
Aaj aaye hain huzoor benaqab se
Guzarishon pe gaur kijiye [x2]
Baat hui hai baharon ki gulab se
Baat hui hai baharon ki gulab se
Waqfiyatein bhi ho gayi shadab se
Woh toh maangte hain shokhiyan janab se
Guzarishon pe gaur kijiye [x6]
Also Read – 2 Eyes Lyrics – Guru Randhawa